Me charag hu naye dor ka, toofano se dara nahi hu Dur kiya he tam ka ghera, andhiyaro se ghira nahi hu
Tej hawaye sajish rachti, par unse bhi bhuja nahi hu
Kadva hu par saccha hu, me shekhar hu diga nahi hu
Jo vyakti apne jiwan ke path par sakaratmakta se chalta he vah adig rehta he, vah nishchal rehta he vastav me sakaratmakta parmeshwar ki vah amulya nidhi he jo usne srashti ka nirman karte hue manav ko sopi thi
Jab parmeshwar kan-kan me vidhyaman he to vah hamare andar bhi vidhyaman he or uske ansh me sakaratmakta bhi vidhyaman he par hum sakaratmakta ko najarandaj kar nakaratmakta ki or badte jate he, or apne jiwan ko nark bana lete he
Meri is pustak me mene nakaratmakta se sakaratmakta ki or le jane ka sakaratmak prayas kiya he vyakti yadi sakaratmak ho jaye to safalta nishchit hi milti he or sakaratmak manushya ke sath parmatma ka ashirwad sath hi rehta he
Isliye sakaratmak rahiye or meri is pustak ka pathan kar jiwan me safal ho jaiye
Aaiye chaliye meri chaturth pustak ke sath sakaratmakta se...